Sunday, January 5, 2014

Wo Lamhe!!

Wo Lamhe
  

Wo hatho main hath bas baaton main baat ,
Chalte hue raste par bhool gaye the ki jana kahan hai!!

Din bhar baatein karna aur baaton ka kam pad jana,
Baar baar ruthna fir manana,
Wo choti choti mastiyan badmashiyan kuch tham sa gaya hai,
Bhool gaye jaise gugunana kahan hai!!

Wo dhoondhna khushiyan un choti baaton main,
Wo dekhna sath main milkar sapne,
Kho gaye is dunia ke samndar main,
Bhool gaye un sapno ko sajana kahan hai!!

Khushiyon ke mayane badal gaye,
Armano ke nishan badal gaye hain,
Ab to waqt nahi haal poochne ka,
Kaise ho ?pooche jamane nikal gaye hain,
Kuin tanha lagte hain ye pal ab humme,
Bhool gaye ki muskurana kahan hai?

No comments:

Post a Comment